Pages

    Sunday, January 07, 2007

    CREATIVE MUSINGS OF IDLE MINDS

    (Apologies upfront to Ghalib’s spirit and his followers.)

    -----------------------------------------
    From: Syed Yusufmiyan
    Sent: 30 April 2006 13:14
    To: Karthik Rao
    Subject: kya haal hai...

    Kya Sirji,

    Kya haal hai?? Idhar to thuki padi hai… sala pure Qatar me cement hi nai hai…. Aur cement nai hai to concrete kaise aayega… currently 2000 cum ka kaam pada hai concrete ke bina …. Shuttering laga pada hai … wo bhi nikal nai sakta.. to naya kaam kaise hoga… sab log baithe hue hain… Design change ki wajah se finishes bhi start nai kar sakte… to finishes bhi band hai… Interior designer revised drawing bhi nai bhej raha to wo bhi band…. Client ne material bhi hold pe rakha hai to procurement bhi nai… hahhahaa That’s what called FUBAR condition…..

    Aap batayiye… kya chal raha hai..

    Syed Yusuf
    Planning Engineer
    MULTIPLEX MEDGULF
    Doha - Qatar
    Ph: +974 4830768 (Ext: 128)
    Cell: +974 5887210
    ---------------------------------------------

    From: Karthik Rao
    Sent: Sunday, April 30, 2006 1:59 PM
    To: Syed Yusufmiyan
    Subject: RE: kya haal hai...

    Janaab,

    Main to kahta hun patte lejao office. Poore din patte khelte raho.Ya to fir who plastic ke bade bath tub aate hain na. site ke tanker se paani bharo, ek chhatri upar lagao aur chill. Waah, ek haath me beer ki bottle dusre me kitaab. Kya kismet payee hai janaab.

    ----------------------------------------
    Yusuf

    Kismat bhi meri kya hoti gar ek haath me chhatri aur dusre me kitab hoti,
    Kyon roz P3 me EOT banata, paas me koi Arabi ko na bithata…..

    Lekin khair, bahot kam hain duniya me jo sochte hain wo paate hain,
    Hum to bus “GHALIB” wo soch ke hi dil bahelate hain…..

    Aadab arz hai janaab…

    ----------------------------------------------
    Yusuf

    Kya baat sirji..

    Kal aapne Ghalib ke sher ki taarif nahi ki…. Aur kya haal hai batayiye…. Taang kaisi hai?? Aur hamare photographs ka kya hua?? Ek ek kar ke bhejne lagiye janaab….

    Baaki sab khairiyat se hai na..


    Take care

    ---------------------------------------------
    Kartik

    Arre nai sahib,

    Main thode kaam me masroof tha. Aur aapke sher ka jawaab soch raha tha. Koi nai kabhi aur sahi.

    Chalo aapke fotos aaj se upload karma shuru kar raha hun


    -----------------------------------------
    Yusuf

    Janaab,

    Ulajh jaoge khud hi gar Ghalib ka jawab sochoge.. (2)
    La jawab hai ‘Ghalib’ - ye sab yun hi nahi kahete….


    Waah waah…. Kya sher likha hai janaab… yaar me to pakka shayar ban gaya hu… ghalib bhi kuchh aisa hi likhta tha…

    --------------------------------------------
    Kartik


    Mian,

    Ghalib ki laajawabi ka humko bhi hai gumaan,
    Gila unse hai jo Ghalib ki aad me apni tareefi karaate hain

    Woh kehten hain ki lau ki aanch se hi diya khud ko jalata hai
    Par yeh kya ki diya lau ki shakshiyat pe apna haq jataata hai.

    Zara Gaur Karen…..Aapki lajawabi ka hamen intezaar rahega
    ---------------------------------------------

    Yusuf

    Janaab,

    BAHOT HI BHARI MAARA HAI JANAAB, hum to sar se le ke paaon tak hil gaye hain…. Is bar to in sab ko save kar ke rakh hi lijiye…
    Me jawab soch ke bhejwata hu…. ‘Ghalib’ abhi soch rahe hain….

    -------------------------------------------
    Yusuf sahib ka andaaz e bayaan

    Adavat nahi hamari koi ‘Ghalib’ marhoom se….
    Samajhna khudko ‘Ghalib’ ye tauheen-e-Ghalib to nahi hai..

    Khuda se “khult” me kahete honge ‘Ghalib’ - shuqr hai, Yusuf us waqt zameen par nahi the…
    Warna is ‘Ghalib’ ke nishan duniya me ab tak nahi hote…..


    Khult : Jannat ….
    ------------------------------------------

    Yusuf:

    Janaab,

    Sunayiye sunayiye….. hamare kaan aapki aawaz sun ne ko be karar hai….
    -----------------------------------------

    Kartik’s bayaan e andaaz

    Khuda ne kabhi Ghalib se farmaya hoga,
    Bhool hui ki tumhe Zameen par bejha Ghalib,

    Barson tak Jannat pe veerana chhaaya tha.
    Alfaazi jaadugari ka noor
    Ballimaaran ki galiyon me jo aaya tha

    Tum to woh thandi hawah ka jhonka the,
    Jo sulagti ruhoon ko sukoon pahuncha gaye,

    Par aajka taareeq-e-aalam to dekho,
    Tumse barabari karne kaise kaise log aa gaye


    -------------------------------------
    Yusuf

    Ye zaroor mara hua hai….. kidhar se dhapa hai batao…..

    --------------------------------------
    Yusuf

    Hum nahin wo jo alfaazon ki jadoogari bikherte hain…
    Na hi lafzon se aap (khudki) kismet ko tarashte hain…

    Ab shakhsiyat hi hamari kuchh aisi hai, Parhezi apni taarif se kiya karte hain.
    Aur auron ke liye Chirag-e-manzil ban ke jal jaaya karte hain….

    Isiliye Ghalib ko vaalid-e-shayri kaha gaya,
    Aur Yusuf andheron mein hi khush ho ke rahe gaya……


    Vaalid: Father

    Aadab arz hai janaab,,

    Sirji, aapke bheje hue photo ka pahela lot mil gaya hai….jo maine party di thi jaane se pahele wali buffet uske… baaki ke photo ka intzaar hai…. Arabi me kahete hain… “ana muntzir” I am waiting…

    -----------------------------------------
    Yusuf

    Janab,

    Labz kho gaye kya?? Ya masrufiyat zyada hai…..?? lagta hai logon ke haath me agar ye sher aa gaye to jaise “tumhari Amruta” thi waisa koi famous play zaroor hoga….

    -----------------------------------------------

    Kartik:

    Miyan,

    Maana ki shayari roohani zaroorat ko pura karti hai

    Par pet bharne ke liye Ghalib ko bhi kaam karna padta hai.

    Yeh cheezen to dimaag ki upaj hain

    Par use chalaane ke liye bhi pet ko nivaala khilana padta hai.

    ------------------------------------

    Yusuf:

    Aapse aise ghatiya sher ki ummid nahin thi

    --------------------------------------------
    -------------------------------------------------
    ----------------------------------------------------

    Last heard:

    Kartik Sahib is in hiding after the last of his pretentious acts in creative shayari got so badly lampooned. Anybody having any idea of his whereabouts can please leave a message at the link below.


    -----------------------------------------------------------
    --------------------------------------------------------------